Posts

Showing posts with the label Story of Hazrat Moosa Alaihis'salaam

Story Hazrat Moosa Alaihis'salaam

Hazrat Moosa Alaihis'salaam-part1 . . . . . . . . . . . . . . . . Firoun ka khwaab . . . . . . . . . . . . . . . . firoun ne ek baar khwaab dekha ki uska Takht (singhasan) ulta ho kar gir gaya hai. firoun ne kaahino se khwaab ki taabeer poochi to kaahino ne taabeer batayi ki... Ek aisa bachcha paida hoga jo teri hukumat ke khatam hone ki wajah banega. firoun ko is baat ki badi fikar hui... aur usne bachchon ko marwaana shuru kar diya. jo bachcha kisi ke yaha paida hota, firoun usy marwaa deta. Hazrat Moosa Alaihis'salaam jab paida huye, to Allah Ta'Ala ne Moosa Alaihis'salaam ki maa ke dil me ye baat daal di ki "isy doodh pilaao aur jab koi khatra dekho to isy darya me daal do" to is tarha kuch din Moosa Alaihis'salaam ki walda ne unko doodh pilaaya, us arsaa (time period) me Hazrat Moosa Alaihis'salaam na roty thy aur na shor karty thy, aur unki ki bahen ke alawa kisi ko unki paidaaish ki jaankaari nahi thi.. fir...